LYRICS BY ALPHABETICAL (A TO Z)
A - B - C - D - E - F - G - H - I - J - K - L - M - N - O - P - Q - R - S - T - U - V - W - Y - Z

Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan Lyrics

Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan Lyrics - Various Naat Khawan

AYA HAI RAMZAN JAG UTHA EMAAN LYRICS

Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan
Har naiki azad hoi, aur qeid hua shaitan.

Fajar say ghantoon pehlay har ghar mein hai baidari
Neend say sab ko nafrat hai aur sehri sab ko pyari
Bachay sab uth baithay Allah ki dekho shaan
Har naiki azad hoi, aur qeid hua shaitan
Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan.

Qabar main kaam na aayein gay yeh sona chandni nore
Ab bhi waqat hai karlo tum dur aman ka khor
Is ramzan mein parhlo tum sabhi mulq quran
Har naiki azad hoi, aur qeid hua shaitan
Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan.

Adbiyat kay jhagray ore sab firqay bazi choro
Laa deeni sazish ki sari zangeroon ko toro
Roze taraveh’yoon mein yehi kehta hai Qu’ran
Har naiki azad hoi, aur qeid hua shaitan
Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan.

Sindhi, Punjabi O Muhajir aur Buloch Pathan
Sab ka aik Nabi hai, eik Kaaba hai, eik Quran
Eik Allah kay banday ban ker sab ahl e imaan
Rozay raho sab rag choro ban jao insaan
dua karo sab milkar mera jeeway (Add your country name)
Har naiki azad hoi, aur qeid hua shaitan
Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan.

Ab duniya dari choro rehmat say daman bharlo
Ab raat ki tanhai main ro ro ker touba kerlo
Janay kab khil jayein….***……………….***
Har naiki azad hoi, aur qeid hua shaitan
Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan.

Blog Archive